Hindi

Singer Akhil Sachdeva se khas mulakat, Jane unse judi kuch dilchasp baaten.

Singer Akhil Sachdeva ne Kabhi ye nahin socha tha ki unhen Bollywood Director Shashank Khaitan se Delhi me milne ka mauka milega. Wo bhi apni friend ke yahan. Aur Delhi unke liye Bollywood ka darwaza kholegi.

Film ‘Badri Ki Dulhania’ ka gaana “Humsafar” se Bollywood me debut karnewale singer Akhil Sachdeva ki mulaqat Shashank Khaitan se Delhi me apni best friend Huma Qureshi ke yahan “Eid” ke mauke pe hui aur jab unhonne Akhil ke gaane ko suna to unhen Bollywood me break dene ka wada kar chale gaye. kuch hi samay baad unhone us waade ko poora kiya aur Akhil ko Delhi se Mumbai bula liya.

Akhil Sachdeva

Film ‘Badri Ki Dulhania’ ka gaana ‘Humsafar’ ke baad Singer Akhil Sachdeva ka naya gaana aa chuka hai aur log usse kafi pasand bhi kar rahe hain. Isi khushi ke mauke pe unse ek khaas mulaqat hui. Is mulaqat ke dauran unhone apne dil ki kuch baaten hamse share ki aur ham aapse use share kar rahe hain.

Interviewer – “Humsafar” gaane ke superhit hone ke baad aapka ye naya gaana aaya hai iske bare me kuch batayen.

Akhil Sachdeva – Iss gaane ko ‘Humsafar’ se pehle hi likha gaya tha aur use compose bhi kar liya gaya tha lekin gaaya ab gaya hai. Log is gane ko sun rahe hain aur kafi pasand bhi kar rahen hain, mujhe poori umeed hai ki mera ye gaana “Gal Sun”, “Humsafar” se bhi zyada hit hoga.

Akhil sachdeva ne bahut hi khoobsurti se is gaane ke lyrics ko piroya aur compose kiya hai. Ap jab unke is gaane ko sunenge to yakeenan Akhil ki jadui Aawaz ke deewane ho jayenge.

Bata dein ki Akhil ne is gaane ko Single ki tarah pesh kiya hai aur khud unhone isme Acting bhi ki hai.

Interviewer – Gaane ki shooting ke dauran ke apne kuch experience bataiye Jo aapke liye yaadgaar ho?

Akhil Sachdeva – “Jab is gaane ki shooting chal rahi thi to usme ek fighting ka seen filmana tha, us seen ki shooting ke dauran wo itna real aur intense ho gaya tha ki mera bayan haath fracture ho gaya tha. wo bhi 10-12 hisse me. Mujhe apne haath ki surgery karani padi aur metal plate dalna pada jo ki poori zindagi ke liye mere haath me laga rahega.”

Interviewer – Music se lagav kab se hua ?

Akhil Sachdeva – Shuruwaat se hi music se khasa lagav tha. Mai jaanta tha ki main Music ke liye hi bana hoon.

Interviewer– Kya apko lagta hai ki Bollywood industry me Nepotism ki wajah se aapko kisi tarah ki koi dikkat hui ?

Akhil Sachdeva – Mai manta hoon ki agar aap mein talent hai aur kuch kar gujarne ka jazba hai to nishchit roop se aap apni manzil paa lete hain. Aapko kaamyabi haath lagti hai. Haan lekin apne talent ke sath-sath luck ko bhi mai mahatwapurn manta hoon. Mujhe nahi pata tha ki “Humsafar” kab aayega. Haan lekin itna yakeen tha ki aayega zaroor aur bahut bada hit sabit hoga aur wahi hua.

Interviewer – Singer ke roop me aapke inspiration kaun hain ?

Akhil Sachdeva – Waise to jo bhi apne soul se music banate hain aur gaate hain woh sab mujhe pasand hain lekin Pakistan ki Reshma ji ka main bahut bada prashanshak hoon aur unke gaane mujhe behad pasand hain. Bharat me Jagjit singh ke gaane mujhe bahut hi zyada pasand hain.

Interviewer – Jagjit singh ka kaun sa gaana aapa favourite hai ?

Akhil Sachdeva – Waise to mujhe unke saare gaane pasand hain lekin “Hoshwalon ko khabar kya” mere dil ke kafi kareeb hai. Jagjit singh ki jab maut hui thi to personally mujhe bahut dukh hua tha kyon ki mera sapna toota tha. Main unke saath stage pe show karna chahta tha.

Interviewer– Romantic ke alawa kaise gaane gaana pasand karenge ?

Akhil Sachdeva – Mujhe folk song gaane ki ichha hai. Soofiaana gaana chahunga. Mazjid ke aage baithkar Qawwali gaana chahta hoon. Aise gaane gaana chahta hoon jo humari aatma ko choone ka kaam kare.

Interviewer – Agar aap Rajnikant hote to kya karte ?

Akhil Sachdeva – Wow, Unke style se chashma pehankar, Wo jis tarah se andar hi andar ladkiyon ko aankh maar dete hain, Wo mai jaroor karta.

Interviewer – Agar aap SRK hote to kya karte ?

Akhil Sachdeva – Mai mere papa ke liye SRK hi hoon. Matlab mai unka to SRK hoon. Fir to bahut maza aata. Mai SRK bhi hota aur gaata bhi. Gaa ke bhi logon ko pagal kar doon aur haath khol ke bhi pagal kar doon.

Interviewer – Kya aapne recently kisi ko like kiya?

Akhil Sachdeva – No, Never. Mai khud se bahut pyar karta hoon.
Akhil Sachdeva ki sabse badi khasiyat hai ki wo khud se sabse adhik mohabbat karte hain aur yahi unki takat bhi hai. Akhir me Akhil Sachdeva apne chahne waalon ko shukriya kehna nahin bhoolte.

Related Articles

Back to top button